Friday, March 12, 2010
Yaadein
kuch ulji, kuch sulji, yaadein
kuch kahi, kuch ankahi, yaadein
kuch suni, kuch unsuni, yaadein
kuch samjhi, kuch na samhji, yaadein
kuch bhuli bhishri yaad aayin hui yaadein!
yaadein woh school ki,
yaadein ab un beete hua dinno ki,
roote roote papa ka haath chodna aur miss ka thamna
aur, ek din bahut saalo baad phir se woh haath thamna chahna,
woh bachpan ke sache dost yaad aana,
woh pencil chabana aur rubber khana,
subah subah pratna mein ghanto line mein kahde rehna,
10th ke board, 11th ki masti , aur 12th ka pehla pyar yaad aana,
kuch khatti, kuch mitti, yaadein,
kuch suni, kuch unsuni. yaadein,
woh nukkad ki chai. khaste aur samsose,
woh coaching ka bunk kerna, kabhi kabhi laga bhi lena,
bagal ki seat wali ladki ka manchitr banana,
woh residency aur bhul bhulaiya ghumna,
kuch samhji, kuch na samhji, yaadein
kuch bhuli bhishri yaad aayi hui yaadein!
kya karein, kay na karein,
ghanto ispe sochna,
aur roj ek lamba sa action plan banana,
aaj bhi in yaado mein jeene ka dil kerta hain,
ek haseen si jindagi jeene ka dil kerta hai,
sayad hamari yaad kisi ko na aaye, toh kya?
apni yaadein yaad kerne ka toh jee kerta hai!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
"woh bachpan ke sache dost yaad aana,
ReplyDeletewoh pencil chabana aur rubber khana,
subah subah pratna mein ghanto line mein kahde rehna," these lines are touching.. :) Reminded me of all those wonderful school days :)
Cheers,
Tanvi: YEah, school days are the best part of our life... I cherish them all... :D
ReplyDeleteloved your last two lines..it tells me that u love urself..and indeed one should..:)
ReplyDeleteAakriti: I guess, I got my best follower:) Hope to see you much here :)
ReplyDeletenice yar.....................
ReplyDelete